Gaye mausamon ki khabar nahi, naye mausamon ka pataa nahi
Wo mere sheher se chalaa gaya kisi gul ne mujh se kahaa nahi
Yehi soch kar meri aankh se kabhi koi ashk bahaa nahi
Rahe aankh mein hai wohi ghattaa, jo baras gaee wo ghattaa nahi
Is dil mein aas ka ik dia, wo gaya to ham ne jalaa lia
Wo dia jo dil mein udaasiyon bhari aandhiyon se bujhaa nahi
Main charaagh see hoon bujhee bujhee, shab-e-hijr teerah-o-taar hai
Main ne khud chuni hai ye teergi mujhe us se koi gilaa nahi
Mutawaqqo hijr k sog mein hi guzar na jaoon main jaan se
Mujhe koi de ye khabar k haan wo gayaa nahi, wo gayaa nahi
0 comments:
Post a Comment